Seene pe tasalli ko tera haath dharaa ho
Gar waqt-e-ajal sar teri chaukhat pe jhuka ho
Jitni ho qazaa ek hi sajde mein adaa ho
Tum zaat-e-khuda se na judaa ho na khuda ho
Allah ko maaloom hai kya jaaniye kya ho
Yeh kyun kahuun mujh ko yeh ataa ho yeh ataa ho
Woh do ke hameshaa mere ghar bhar ka bhalaa ho
Aata hai faqeeron pe unhi pyaar kuch aisa
Khud bheek dein aur khud kahe mangta ka bhalaa ho
Mangta to hai mangta koi shaahon mein dikhaade
Jisko mere Sarkaar se tukraa na mila ho
Mitti na hoo barbaad passe marde ilaahi
Jab khaak urey meri Madine ki hawaa ho
Dekha unhe mehshar mein to rahmat ne pukaaraa
Aazad hai jo aap ke daaman se bandha ho
Dhoonda hi karein sadr-e-qayaamat ke sipaahi
Woh kis ko mile jo tere daaman mein chupa ho
Shaabaash Hassan aur chamakti si ghazal parh
Dil khol kar aaina e iman ki jilaa ho
De daaliye apnay lab-e-jaan bakhsh ka sadqa
Ae chara-e-dil dard-e-hasan ki bhi dawa ho
3. Ajab rang per hai bahaar-e-madina
Ke sab jannatien hain nisaar-e-madina
Mubarak rahe andalebon tumhein gul
Hamein gull se behtar hai qaar-e-madina.
Bana shah nasheen khusroo e do jahaan ka
Bayaan kiya ho izz o waqaar-e-madina
Meri qaak yarab na barbad jaaye
Bus marg kar de ghubaar-e-madina
Ragg-e-gull ki jab nazuki dekhta hoon
Mujhe yaad aatey hain qaar-e-madina
Malaayak lagatey hain aankhon may apni
Shab-o-roz qaak-e-mazaar-e-madina
Jidhar dekhiye baagh-e-jannat khula hai
Nazar may hai naqsh-o-nigaar-e-madina
Rahein unke jalwe basein unke jalwe
Mera dil baney yaadgaar-e-madina
Haram hai usey saahat e har do aalam
Jo dil ho chuka hai shikaar-e-madina
Do aalam may bat’ta hai sadqa yahaan ka
Hamein ek nahein rezah khwaar-e-madina
Bana aasmaan manzil-e-ibn-e-maryam
Gaye lamakaan tajdaar-e-madina
Muraad-e-dil bulbul benawaa de
Khudaya dikha de bahaar-e-madina
Sharaf jinnse haasil howa ambiya ko
Wohi hain hasan iftaqaar-e-madina
Manqabat Shaan-e-Sayyiduna Abu Bakr al-Siddiq (radi Allahu anhu)
4. Bayaan ho kis zubaan se martaba, Siddiq-e-Akbar ka
He yaare ghaar mehboobe Khuda, Siddiq-e-Akbar ka
Ilaahi rahem farma, khaadim e Siddiq-e-Akbar hoon
Teri rehmat ke sadqe waasta, Siddiq-e-Akbar ka
Rasul aur Ambiya ke baad, jo afzal ho aalam se
Ye aalam mein he kis ka martaba, Siddiq-e-Akbar ka
Gada Siddiq e Akbar ka, Khuda se fazal paata he
Khuda ke fazal se mein hoon gada, Siddiq-e-Akbar ka
Sambhaalo kuch mili khaake sare kuwe payambar se
Mustafa aaina he naqshe, ya Siddiq-e-Akbar ka
Hue Farooq o Usman o Ali, jab daakhile bayt
Bana fakhro salaasil silsila, Siddiq-e-Akbar ka
Maqaam-e-khwaabe raahat chen se aaraam kar ne ko
Bana pehlu e Mehboob e Khuda, Siddiq-e-Akbar ka
Ali hein us ke dushman aur woh dushman Ali ka
Jo dushman aql ka dushman huwa, Siddiq-e-Akbar ka
Lutaaya raahe haqq mein ghar kaee baar is muhabbat se
Ke lut, lut, kar Hassan ghar bhar gaya, Siddiq e Akbar ka
Manqabat:
Manqabat on Ustad-e-Zaman Hazrat Hassan Raza Khan (radi Allahu anhu) By Sufi Muhammed Jameel Akhtar Siddiqui Sahib Calcutta.
Aaqa ke Madhokhwan hai Mere Hasan Raza, Han Saniye Hassan Hai Mere Hasan Raza,
Beshak Mashame Jane Do Alam Hai Mushkbar, Naaton Ke itar daan hai mere Hasan Raza
Naaton Ko sunke unke Farishte bhi Mast hai, Moula Ke Hamdkhwan hai Mere Hasan Raza
Behre Uloom e Deen o Shariat ke hai Gohar, Husne Ilm ki Kamaan Hai Mere Hasan Raza
Sarkar e Do Jahan ki do no Jahan mein Azmat ke Paasbaan hai Mere Hasan Raza
Shero sukhan ki Raah ka Dar asal dosto Sarkheel e Karwan hai Mere Hasan Raza
Kehte hai Sare log Bariely ke aaj bhi Ruhaniyat ke Jaan hai Mere Hasan Raza
Fazle Khuda wa Faze Nabi wa wali se aaj Bandon pe Meharbaan Hai Mere Hasan Raza
Sheron mein Un ke ishq Sahaba ka hai Qumar Hassan Ki Zaban hai Mere Hasan Raza
Naaton Mein Ishq e Sayyade Aalam Ki Hai Mahek, Sher o Sukhan ki Jaan hai Mere Hasan Raza
Radd e wahabiyat pe bhi Ashar hai kahein, Maslak ke Tarjuman hai Mere Hasan Raza
Sarkar e Do Jahan Ki Azmat pe bil yaqeen Sou(1oo) Jaan se Qurban hai Mere Hasan Raza
Sajdon Ka Noor Chehra e Taba pe Dekhiye Imaan Ki Pehchaan hai Mere Hasan Raza
Paikar Nighae Paak se Sab Mast ho gaye Mekhanaye Imaan hai Mere Hasan Raza
Yun Bandagi Pe Jiski Malaik Bhi Dang hai Woh bandaye Rahmaan Hai Mere Hasan Raza
Shayan e Shaan Aap ki likhun koi Ghazal Dil ki mere Armaan hai Mere Hasan Raza
Naazan tha jiske Sher pe Delhi ka Daagh bhi, woh Shayer e Zeeshan hai Mere Hasan Raza
Mujh Par bhi dil se sunle Shab o Roz aye Jameel, Muddat se Meherbaan Hai Mere Hasan Raza
Manqabat written on Ustad-e-Zaman by Naqeeb-e-Ahle Sunnat, Moulana Ali Ahmed Siwani Sahib
Ashiq-e-Shah-e-Zaman hai Bil Yaqeen Qibla Hassan
Madhakhwan-e-Panjtan hai Bil Yaqeen Qibla Hassan
Nikhat-e-Nukhta bayani se Muattar hai Dimaag
Khusboo-e-gul hai fan hai Bil Yaqeen Qibla Hassan
Daagh bhi naazan the apne neik khu Shagird par
Muatarif Ahle sunan hai Bil Yaqeen Qibla Hasan
Aap ka har sher hai Tafseer e Quraan e Majeed
Mazhar e khulqe hasan hai Bil Yaqeen Qibla Hasan
Aap ki Naaton ki Taseeron se Dil hai Muztarib
Wasif e Shah-e-Zaman hai Bil Yaqeen Qibla hasan
kaise kaise Shayaron ki Tarbiyat farmayi hai
Aap Ustad-e-Zaman hai Bil Yaqeen Qibla Hasan
Aaj Bhi Nakhade fun is baat ke hai Mohtarif
Haan Shahenshah e Sukhan hai Bil Yaqeen Qibla Hasan
Aap ki Nukta bayani ki Jahan me dhoom hai
Aftab e Ilm o fun hai Bil Yaqeen Qibla Hasan
Aap ki Har har ada Aks e kirdar e Rasool
Patawe Shah e Zaman Hai Bil Yaqeen Qibla Hasan
Aap Gulzar e Sukhan ki Hai baharien bekhaza
Baagh baane baagh e fun hai Bil Yaqeen Qibla Hassan
Aap ka ihsaan hai duniya e adab o sher par
Mohsin e Ahle Sukhan hai Bil Yaqeen Qibla Hassan
Aap ke Jalwon ki kirne hai Jahan e sher mein
Naiyar e Charkhe kohan hai Bil Yaqeen Qibla Hassan
Gulistan-e-Sher-o-Gulzar-e-Sukhan ka Doston
Bul Bul-e-Sheereen duhan hai Bil Yaqeen Qibla Hassan
Aap Ki fikr e Rasa ki hai Shuwaein Daher Mein
Jalwae Sher-o-Sukhan hai Bil Yaqeen Qibla Hassan
Ache Ache Shayarane Nukhta Ras ke dekhiye
Aaj Bhi Ustad-e-Fun hai Bil Yaqeen Qibla Hassan
Ahle deen Ahle Aqidat Sab pe hai Nazre karam
Mushfiq-e-Ahle Sunan hai Bil Yaqeen Qibla Hassan
Mein Ali Kam Faham kya Samjhu Unke Sher ko
Maher-e-Fune sukhan hai Bil Yakheen Qibla Hassan
Wisaal:
Ustad-e-Zaman passed away from this temporary world on 3rd Shawwal 1326 Hijri... in the year 1908. Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan (radi Allahu anhu) Performed his Janazah Prayers & lowered him in qabar shareef with his Blessed Hands. His Mazar Shareef Situated in City Graveyard Bareilly Shareef Beside his Mother Mazar Shareef.
Ala Hazrat Dream:
Ala Hazrat had a dream of him holding a big paper in his hand which is full of ashars poems in the phrase of Prophet MUHAMMAD (sallallahu alaihi wasallam) & said brother my these poems are accepted in bargah-e-risalat (sallallahu alaihi wasallam), all this incident was further told by Ala Hazrat in his speech in RAZA Mosque before JUMA salah & countinously weeped & said if a single couplet of a poem is accepted in Bargah-e-RISALAT (sallallahu alaihi wasallam) the one got magfirat INSHA ALLAH but my brothers so many couplets are accepted in Bargah-e-RISALAT (sallallahu alaihi wasallam).
Blessed Children:
Ustad-e-Zaman Hazrat Hassan Raza Khan (radi Allahu anhu) got 3 Blessed sons:
- Hazrat MOULANA HAKEEM HUSSAIN RAZA KHAN (radi Allahu anhu)
- HAKEEM-UL-ISLAM MUFTI HAZRAT ALLAMA HASNAIN RAZA KHAN (radi Allahu anhu)
- Hazrat MOULANA FAROOQ RAZA KHAN (radi Allahu anhu)
Yeh kyun kahoon mujh ko yeh ataa ho yeh ataa ho
Woh do ke hameshaa mere ghar bhar ka bhalaa ho
Kalaam-e-Ustad-e-Zaman Hazrat Moulana Hassan Raza Khan (radi Allahu anhu).Due to Hazrat Ustad-e-Zaman (radi Allahu anhu) Prayers you can find a great personalities in his chain some of the great Blessed Personalities are Hakeem-ul-Islam Hazrat Hasnain Raza Khan (radi Allahu anhu) & Huzoor Ameen-e-Shariat Hazrat Sibtain Raza Khan Qadri Noori Maddazilah-ul-Noorani & Sadr-ul-ulama Hazrat Tahseen Raza Khan (radi Allahu anhu), Yadgar-e-Salf Hazrat Allama Habib Raza Khan Maddazillah-ul-Noorani.
No comments:
Post a Comment